Wednesday, January 4, 2012

Ubaid Awan

Ek Roz Juda ho Jaonga(Ghazal)

by Ubaid Awan on Thursday, January 6, 2011 at 10:29pm
Ek roz juda ho jaon ga
Na jane kahan kho jaon ga
Tum lakh pukaro gay muj ko
Par lot k main na aon ga
Jab ghar say bahir galion k
Konon pe tanha behto gy
Jab atay jatay chehron main
Tum chehra mera na pao gy
Thak har k din k kamo say
Jab rat ko sony jao gy
Dekho gy jab phone ko
Pegham mara na pao gy
Tab yaad tumhain main aonga
Par lot k main na aonga
Ek roz ye rishta chootay ga
Dil itna zayada toty ga
Phir koi na ham sy rothe ga
Main na ankhein kholun ga
Tm sy kbi na bolun ga
Akhir us din tm ro do gy
Tm apna yaar kho do gy!